Kya karun
kuch aisa likhoon par likh ke kya karun?
Dikhaun Tumhe?
Bataun Tumhe?
Main kya hoon,
yun hi koi gire hue insaan ki tarah,
bebas, laachar?
Par hoga kya?
Tum karoge kya?
Main bhaunk bhaunk thak jaunga
Par tum wahin rahoge -
ya laut jaoge
bas jo jaisa tha wo waisa reh jaayega.
Fir me gum ho jaunga,
Tum gum ho jaoge,
apni har ek baat se mujhe bhoolna chahoge,
kehene ko to koi kuch bhi keh sakta hai,
sochoge.
Main bola toh mara,
Nahi bola toh mara.
Yehi kitno ka haal hai,
Yehi tarakki ka naam hai.
Is desh ki baatien karta na main,
Logon se baatien karta hoon,
Logon pe atyachaar se,
main darta hoon!
main marta hoon!
Comments
Post a Comment